Monday, 1 July 2013

Mainey kaha kitna kartey ho mujh se payar

Mainey kaha kitna kartey ho mujh se payar
Uss ne kaha aankhain meri pad liya karo

Mainey kaha yun kab talak milainge istara jana
uss ne kaha ghoor na itna kiyya karo

Mainey kaha mujh ko chahiyee tumhara saath
Uss ne kaha apney KHUDA se dua karoo

Maine kaha zehan-o-dil pe bara hai boojh
Uss ne kaha tanhayee main ro liya karo

Mainey kaha aankhoon main badhney lagi nami
Uss ne kaha jhootey se hi hans liya karo

Mainey kaha mausam be maza sa hai
Uss ne kaha ghazal koi sun liya karo

Mainey kaha kahaan rehtey ho aaj kal
Uss ne kaha jaan shaq na itna kiyya karo

Mainey kaha meri wafaoon ka sila kahaan
Uss ne kaha apni hadoo main raha karo..

Samajhte hain wo ke pathar hain hum
mujhe wo thokar mar jayenge
ek bar toh khud kehdein wo ke nafrat hai tumse
tab pathar to kya, phool bankar bhi unki rahon mein nahi ayenge

0 comments:

Post a Comment